Friday, February 12, 2010

yudh kar

Yudh Kar

Har koi ban sipayi, ladh raha lath-path

Khud par hi waar kiye, ho raha lath-path

Ladh raha duwand yudh,khud ke ayeene se

Har baar mar khaye jaa raha, ayeene se

Thak raha hai yudh se,hua lath-path

Par chod nahi sakta,Peeche kar raha thap-thap

Mo-ot hogi issi ki shak nahi

bhe-ka diya jannat milegi yudh kar
Kon Kis-se ladh raha hai, soch kar

She-tan peeche khada hai, phir yudh kar

Yudh jeetne ki chahh mai,

rakhi hai har she-ey taak par

Suraj doob chala,akela khada medaan par

Aman ho , Aman ho ,yeh pukaar hogi zaroor kar

Talwar seene se nikal khadi hogi,jab zameen par

Wednesday, January 13, 2010

Khud se

Bheed mai dorh raha,har koi, khud se

Safar do kadam ka,hazaaro meel dorh raha , khud se

Kastoori ki talash mai,dorh raha , khud se

Jungle mai lagi aag,fir dorh raha, khud se

Bahoot tej chalne ki chahat ,pyaar bhool gaya, khud se

Auro ka marna dekhte dekhte, kabar khod bhetha, khud se

Koi peelade pani isse,pyaasa bheta raha, khud se

Re-et par lakeere kheechta raha, ka-ed karta raha, khud se

Janaat ki talash mai,dozak banta raha, khud se

Nadii bheti rahi kareeb se, pyaasa marta raha, khud se

Thak gaya hai chalte chalte,ghar aur door hua, khud se

Pani barasta hi nahi, zameen fut rahi , khud se

Ab ruk ja kahi,baat kar ab to, khud se

Shakal ayeene mai dekh,ankh do chaar kar, khud se................

Friday, January 8, 2010

kho jane ka darr

Kho Jane Ka Darr

Wo manjil ko paa na saka

Tha, Kho Jane Ka Darr

Wo Mohobatt bhi kar na saka

Tha, Kho Jane Ka Darr

Jindgi yu hi guzar gayi

Sehma sa raha , Tha, Kho Jane Ka Darr

Khushiyo' ne dastak di dareeche par

Jawab na de saka , Tha, Kho Jane Ka Darr

Basant rang bikherti rahi

Dekh na saka , Tha, Kho Jane Ka Darr

Barsat hui uss roz sookhe mai

Chatri choodd na saka Tha, Kho Jane Ka Darr

Khud WO aya haath bharne ke liye

Moothi khol na saka Tha, Kho Jane Ka Darr

sahara

Saharo pe kyu karte ho naaz

Swaaar saharo ke hi gira karte hai yaar

Seedhi se kuch to unchayi le sakte ho

Seedhi k sar par kabhi nahi khade hote yaar

Saharo pe chalne ka ata hai mazaa

Par yehi hai jo chaal bigaad dete hai yaar

Geeli reth par tum bhi kuch chodte nishaan

Nishaan unke mil bheed si kar dete hai yaar

Bel par phal to aa jate hai

Sahara choot te hi wajood kho bheti hai yaar

Bhehek jaye wo hi saharo ki karte tailash

Yehi khud par se wishwas utha dete hai yaar

Sahare ban jaye jab zindagi ka saath

Unko APANG ka naam de dete hai yaar